INSANIYAT KI TOHEEN

sad urdu poetry, urdu poetry in human rights, Urdu Poetry by Sumayya Shireen,
sad urdu poetry, urdu poetry in human rights, Urdu Poetry by Sumayya Shireen

Jis Mehfil ko Sajaane nikle the hum,
Waha saazish parasti bahut Aam thi,
Mehroom the unki nafrat se hum,
Warna Hume bewafa thehra de koi; zamaane ki kya majaal thi

Haasid ka muqaabla na kar Saka koi,
Na mar Saka koi na maar saka koi,
Unki koshish humari zillat or haar thi,
Mohabbat ka bosa bhi mahez ek chaal thi…

Khanjar bhokte rahe wo gale lagakar hume
Humare lihaaz or masumiyat ki unhe parwah kahan thi
Har anjuman mai beizzat kya mukhalifon ne hume
Or hum lahoo bahate rahe yahi humari Shaan thi

-Sumayya Shireen

One thought on “INSANIYAT KI TOHEEN”

  1. Nice Line…especially…
    “Haasid ka muqaabla na kar Saka koi,
    Na mar Saka koi na maar saka koi..”

    Wonderful overall….

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *