JUNG E-AZAADI

jang-e-azaazi

Mera paigaam hai apni awaam k naam
Azaadi leke rahenge kisi roz ki shaam

Nojawaano rukh badal do khamoshi k sath
Lekin Buland karo awaz apni saadgi k sath

Himmat he dilayegi Haq humara humko
Tod do zanjeere or yaad karo rab ko

Naagrik hain hum is desh ke kyun sahe sitam
Nahi chhodenge is mitti ko jitne karlo jatan

Samvidhan humara har mazhab ka rakhwala
Siyasat ne bhaarat ki use he ujaad daala

Bahut khel lye tum masoomo ki zindagi ke sath
Khuda khaaq kar dega ek din tumhari he zaat

Seh rahe hain sehte rahenge har dum hum sabhi
Nahi chhodenge Hindustan marne ke baad bhi ..

~ Sumayya Shireen

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *